Wednesday, March 9, 2011

Kuch aisa ho jaye


Kuch aisa ho jaye wo beete hua pal laut aye,
Wo ma ki lori , wo dost ka saath, wo barish me nahana, wo collage ki ek ladki ki baat,
Wo didi ka pyaar, wo bhai ka daatna, wo rota hua chairha, wo gum dosto ko batna,
Wo kagaj ki naav ko panai mein chalana, wo kunchoo (marbles) ke peche gaali sunana,
Wo mahule ki gali, wo bejli ka pole, wo tuta hua balla, wo kagaj ki ball,
Wo rote hue jeetna, wo dosto mein jhuuuuumna,
Sub kuch ulta fulta gum jaye,
bus ek bar Kuch aisa ho jaye wo beete hua pal laut aye,

Wo ma ka haath pakdte hue chulna, wo lukdi k ghode ko pakad kur uchalna,
Wo khilone, wo gaadi, wo maaa ki goadhi or bhigi hui saadi, jut se neech or jut se utana,
Mera rota hua chera, hassi me badal jana…
wo logo ka kehna  na pari na tu husta hi jaye, 
bus ek bar Kuch aisa ho jaye wo beete hua pal laut aye,
wo patango ki paich, wo maanje ki door, wo choti se class mein dosto ka shoor,
wo haatho mein likhna, tera hi naam, wo masti ki mehfil, wo lehrate hue jam,
wo collage ka campus, wo Anwar ka naam,
bhule nahi bhulta mein dosto ka saath, rote hue kurta hu mein subko yaad,
wo dosto ki mehfil bhir se jhoom jaye,
bus ek baar Kuch aisa ho jaye wo beete hua pal laut aye,

No comments:

Post a Comment